Complete Namaz Ka Tarika In Urdu

In this article learn complete namaz ka tarika In Urdu. Learn Tahajjud, Fajar, Zohar, Asar or Isha ki Namaz ka tariqa in detail

Namaaz padhne ka tariqa kya hai ?

JAWAAB: Namaaz padhne ka tariqa ye hai ki baWuzu Qiblaru doono paawon ke panjo me chaar ungliyo ka faasla karke khada ho aur doono haath kaan tak le jaaye ki angoothe kaan ki lou se chu jaaye iss haal me ki hatheliyan Qibla rukh ho phir niyyat kare ALLAAHu akbar kehte huwe haath neeche laakar naaf ke neeche baandhle aur sana padhe. “SUBHANAKALLAAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABAARA KASMUKA WA TA AALA JADDUKA WALA ILAAHA GAIRUKA” phir Taouz yaani ‘AWUZU BILLAHI MINASH SHAITAAN NIRRAJEEM’ phir Tasmiyah yaani ‘BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM’ padh kar ALHAMDU padhe aur Aameen aahista kahe, uske baad koyi surat ya teen aayate padhe ya ek aayat jo ki chooti teen aayaton ke barabar ho. aub ALLAAHu akbar kehta huwa ruku me jaaye aur ghutno ko haath se pakad le iss tarah ki hatheliya ghutno par ho, ungliya khoob pheli ho, peeth bichi ho aur sar peeth ke baraabar ho ooncha neecha na ho aur kam se kam teen baar “SUBHANA RABBIAL AZEEM” kahe phir “SAMIALLAAHU LIMAN HAMIDAH” kehte huwe seedha khada hojaaye aur akele namaaz padhta ho toh uske baad “RABBANA LAKAL HAMD” kahe phir ALLAAHu akbar kehta huwa sajde me jaaye iss tarah ki pehle ghutne zameen par rakhe phir haath phir doono haatho ke beech me naak phir peshaani rakhe iss tarah ki peshaani aur naak ki haddi zameen par jamaaye aur baazoun ko karwato aur peit ko raano aur raano ko pindhliyo se juda rakhe aur doono paawon ki sab ungliya Qiblaru ho aur kam se kam teen baar “SUBHANA RABBIAL AALA” kahe phir sar uthaye phir haath aur dahina qadam khada karke uski ungliya qiblarukh kare aur baaya qadam bicha kar uss par khoob seedha bait jaaye aur hatheliya bichakar raano par ghutno ke paas rakhe phir ALLAAHu akbar kehta huwa sajde me jaaye aur pehle ki tarah sajda karke phir sar uthaye phir haatho ko ghutno par rakh kar panjo ke bal khada hojaaye aub sirf ‘BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM’ padh kar Qirath shuru kare phir pehle ki tarah ruku sajda karke baaya qadam bicha kar bait jaaye aur Tashahud padhe “ATTAHI YATULILLAHI WASSALAWATU WATTAIBAATU ASSALAAMU ALAIKA AYYUHANNABIYYU WA RAHMATULLAHI WA BARKA TAHU ASSALAAMU ALAINA WA AALA IBAADILLAHISSALIHEEN ASHHADU ALLAAILAAHA ILLALAAHU WA ASHHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASSOLUHU” Tashahud padhte huwe jab kalimaye “LAA” ke qareeb pahunche toh dahine haath ke beech ungli aur angoothe ka halka banaye aur changuliya aur uske paas waali ko hatheli se milaade lafze “LAA” par kalima ki ungli uthaye magar usko hilaaye nahi aur kalimaye “ILLA” par gira de aur sab ungliya fauran seedhi karle aub agar doo se ziyada rakaat padhni hai toh uth khada ho aur iss tarah padhe magar farzo ki unn rakaato me ALHAMDU ke saat surat milaana zaruri nahi aub pichla qaida(baithak) jiske baad namaaz qatm karega uss me Tashahud ke baad darood shareef padhe “ALLAAHUMMA SALLE ALA SAYYADINA MUHAMMADIN WA AALA AALI SAYYADINA IBRAHEEMA WALAA ALI SAYYADINA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUMMAJEED, ALLAAHUMMA BAARIK ALA SAYYADINA MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALAA IBRAHEEMA WA AALA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUMMAJEED

April, 2024

NAMAAZ KE BAAD KI DUA:

“ALLAAHUMMA ANTASSALAAM WAMIN KASSALAAM WA ILAIKA YARAJIUSSALAAM FAHAIYYANA RABBANA BISSALAAM WADQILNA DAARASSALAM WA TABAARAKTA RABBANA WATA ALAITA YA ZALJALAALI WAL IKRAAM”

AURATO KE LIYE NAMAAZ KE MAQSOOS MASAYEEL

Aurate takbeere tehrima ke waqt kaano tak haath na uthaye balki kandho tak uthaye, haath naaf ke neeche na bandhe balki baaye hatheli seene par chaathi ke neeche rakh kar uski peeth par dahini hatheli rakhe, ruku me ziyada na jhuke balki thoda jhuke yani sirf iss qadar ki haath ghutno tak pahunch jaaye, peeth seedhi na kare aur ghutno par joor na de balki mahaz haath rakh de aur haatho ki ungliya mili huwi rakhe aur paaw kuch jhuka rakhe mardo ki tarah khoob seedha na karde. Aurate simat kar sajda kare yani baazoun ko karwato se milade aur peit raano se aur raano ko pindhliyo se pindhliya zameen se juda na rakhe, aur qaida(baithak) me baaye qadam par na baithe balki doono paaw dahine janib nikaal de aur baaye sureen(puttha) par baithe, aurate bhi khadi hokar namaaz padhe. Farz aur waajib jitni namaaze bagair ujr baithkar padh chuki hai unki qaza kare aur tauba kare aurat mard ki imaamat hargiz nahi kar sakti aur sirf aurate jamaat kare ye makruh teheemi aur najaayiz hai, aurato par Juma aur Eidein ki namaaz waajib nahi

NAMAAZ KI SHARTE:

JAWAAB: Namaaz ki sharte chey(6) hai, jinke bagair namaaz sire se hoti hi nahi.
(1)Taharat: Yaani namaazi ke badan, kapde aur uss jagah ka paak hona ki jis par namaaz padhe.
(2)Satr-e-aurat: Yaani mard ko naaf se ghutno tak chupaana aur aurat ko siwaaye chehra, hatheli aur qadam ke poora badan chupaana, aurat agar itna bareek dupatta oodh kar namaaz padhe ki jis se baal ki siyahi chamke toh namaaz na hogi jab ki uss par koyi aisi cheez na oodhe ki jis se baal ka rang chup jaaye(Aalamgeeri).
(3)Isteqbaale Qibla: Yani namaaz me Qibla ki taraf muh karna. Agar Qibla ki samth me shuba ho toh kisi se daryaaft karle agar koyi dusra moujood na ho toh gaur-o-fikr ke baad jidhar dil jame usi taraf muh karke namaaz padhle. Phir agar baade namaaz malum huwa ki Qibla dusri samth tha toh koyi harz nahi namaaz ho gayi.
(4)Waqt: Lihaaza waqt se pehle namaaz padhi toh na huwi jiska bayan tafseel ke saat pehle guzar chuka hai.
(5)Niyyat: Yaani dil ke pakke iraade ke saat namaaz padhna zaruri hai aur zubaan se niyyat ke alfaaz kehlena mustahab hai, iss me arabi ki kuch takhsees nahi urdu wagairah me bhi ho sakti hai, aur youn kahe niyyat ki maine niyyat karta hoon na kahe.
(6)Takbire Tehreema: Yaani namaaz ke shuru me ALLAAHu akbar kehna sharth hai

SAWAAL: Farz aur waajib kise kehte hai ?

JAWAAB: Farz woh kaam hai ki usko jaan booj kar chodhna saqt gunah aur jis ibadat ke andar woh ho bagair uske woh ibadat durust na ho. aur waajib woh kaam hai ki usko jaan booj kar chodhna gunah aur namaaz me qasdan chodne se namaaz ka dubaara padhna zaruri aur bhool kar choot jaaye toh sajda-e-sahu laazim.

SAWAAL: Sunnate muakkada aur Gair muakkada kise kehte hai ?

JAWAAB: Sunnate muakkada woh kaam hai ki jiska chodhna bura aur karna sawaab hai aur ittifaqan chodhne par itaab aur chodhne ki aadath kar lene par mustahike azaab aur sunnate muakkada woh kaam hai ki uska karna sawaab aur na karna agarche aadath ho itaab nahi magar sharan na pasand h

Trending Posts

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit

kafel metlax ustasi teleb olunur || kafel metlax ustası

Bakı şəhəri və karabakh ətraf rayonları üzrə hər cür kafel metlax işləri görürük. İşimizin keyfiyyəti…

ByBy2 min read

desi month date today, punjabi calander | desi month date today lahore

April 18, 2024 7:55 pmdesi month date maghar 27آج مگھر مہینے کی27 تاریخ ہےdesi month date today Desi Month…

ByBy12 min read

Tahajjud Namaz is Sunnah or Nafl

IS Tahajjud Namaz is Sunnah or Nafl? Tahajjud Namaz is a voluntary prayer performed after…

ByBy9 min read

Is Fiji Water Good for You?

Is Fiji Water Good for You? Examining Health Benefits and Risks. Examining Health Benefits and…

ByBy29 min read

Why Did Acrylic Tank Manufacturing Close?

Why Did Acrylic Tank Manufacturing Close? Acrylic tanks have become popular among aquarium enthusiasts because…

ByBy19 min read

GE Washer Fault Code List: Troubleshooting Your GE Washer

Here is a GE Washer Fault Code List: Are you experiencing problems with your GE…

ByBy20 min read

how many rakats in dhuhr: A Comprehensive Guide

how many rakats in dhuhr: here are ten rak’ats in Zuhr prayer. 4 Rakat Sunnah, then…

ByBy7 min read

Does Dasani Dehydrate You? The Truth About Drinking Water

Does Dasani Dehydrate You? When it comes to staying hydrated, we all know that drinking…

ByBy4 min read

Drain and Spin Meaning: A Comprehensive Guide to Your Washer’s Final Cycles

In this post I explain drain and spin meaning. When it comes to laundry day,…

ByBy7 min read
Image

Latest Stories

Don’t miss our hot and upcoming stories

kafel metlax ustasi teleb olunur || kafel metlax ustası

Bakı şəhəri və karabakh ətraf rayonları üzrə hər cür kafel metlax işləri görürük. İşimizin keyfiyyəti…

ByBy2 min read

desi month date today, punjabi calander | desi month date today lahore

April 18, 2024 7:55 pmdesi month date maghar 27آج مگھر مہینے کی27 تاریخ ہےdesi month date today Desi Month…

ByBy12 min read

Tahajjud Namaz is Sunnah or Nafl

IS Tahajjud Namaz is Sunnah or Nafl? Tahajjud Namaz is a voluntary prayer performed after…

ByBy9 min read

Is Fiji Water Good for You?

Is Fiji Water Good for You? Examining Health Benefits and Risks. Examining Health Benefits and…

ByBy29 min read
Image

Post Grid #2

Kafel metlax ustasi teleb olunur
dise month date today
Tahajjud Namaz is Sunnah or Nafl
is fiji water good for you
Why Did Acrylic Tank Manufacturing Close?
GE Washer Fault Code List: Troubleshooting Your GE Washer
how many rakats in dhuhr:
Does dasani dehydrate you
Drain and Spin Meaning: A Comprehensive Guide to Your Washer’s Final Cycles